Zindagi Ka Suitcase | Ruby Bridges | Power of Courage | The Motivational Podcast I #103 Podcast Por  arte de portada

Zindagi Ka Suitcase | Ruby Bridges | Power of Courage | The Motivational Podcast I #103

Zindagi Ka Suitcase | Ruby Bridges | Power of Courage | The Motivational Podcast I #103

Escúchala gratis

Ver detalles del espectáculo

Acerca de esta escucha

"Don’t follow the path. Go where there is no path and begin the trail."

Ruby Bridges

Kuch kahaniyaan waqt ke paron par udti hain... aur kuch kahaniyaan waqt ke seene par apna nishaan chhod jaati hain.
Ruby Bridges ki kahani aisi hi ek kahani hai — ek chhoti si nanhi si jaan, jisme duniya se bade sapne the... aur duniya bhar ke dar ke saamne bhi ek Himalaya si himmat thi.

Sunoh Meri Jaan with Joy ke is khaas episode mein, hum aapko le chalenge 1960 ke America ke un sangharsh bhare raaston par, jahan ek chhoti si ladki apne chhote se haath mein poore ek desh ke sapne le kar nikli thi — school jaane ke liye.

Roz subah, ek gusse se bhari bheed ke beech se guzarti Ruby ka safar, sirf ek school ki dehleez tak nahin, balki insaniyat ke naye darwazon tak tha.

Kaise ek six-year-old bacchi ne duniya ko dikha diya ki "himmat ka rang na kabhi gora hota hai, na kaala... bas ek roshni hoti hai jo andheron ko cheer deti hai."?!

Kaise uski khamosh kadam, ek shor machati duniya ko badalne ki pehli chaap ban gaye?!

Ruby Bridges ka safar ek misaal hai, har us insaan ke liye jo kabhi akela mehsoos karta hai, jo kabhi dar se ladte hue thak jaata hai.

Aaiye, ek pal ko apni duniya se nikal kar chaliye Ruby ki duniya mein — jahan har kadam par tha ek imtihaan, aur har imtihaan ke paar tha ek naya ujaala.

🎧 Sunne ke liye tayyar ho jaiye ek kahani jo aapke dil ke har kone kone mein roshni bhar degi.

Agar aapko yeh episode pasand aaye toh aap sabhi se main request karna chahunga ki aap is podcast ko like kar lein, download kar lein, ise rate bhi kar dein aur ise apne network mein sabhi ke saath share zaroor karein. Aapko yeh episode kaisa laga mujhe comment section mein likhkar ya poll ke zariye bataiyega zaroor!!

Doston, is podcast ka maqsad hi ek dusre ki zindagi se seekhna hai, ek dusre se connect karna hai, ek dusre ka support banna hai. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai jahan hum ek naye andaaz mein zindagi ko dekh sakein aur usey ek behtar tareekey se jee sakein.

Toh, agar aap, aapki zindagi ke kisi bhi modh ke baarey mein discuss karna chahtey hain ya kuch bhi share karna chahtey hai to mujhe email zaroor kijiyega, mera email id hai⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠sunohmerijaanwithjoy@gmail.com ⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠⁠

Aur agar aap motivation ke baare mein, self-help ke baare mein aur janna chahtey hain ya aur content dekhna chahtey hain toh kindly mujhese Instagram par bhi judein, mera handle hai @sunohmerijaanwithjoy. Main yahan shero-shayri, nazm, ghazal, sangeet ya poetry se inspiration dhoondhe ki, prerit hone ki koshish karta hoon aur zindagi ko naye tareeke se jeene ke nuskhe talaashta hoon. Aap judhengey toh bahut accha lagega.

Disclaimer:

Yeh episode meri niji raai hai, mere jeevan ki seekh hai jo maine zindagi se haasil ki hai aur doosre successful logon ke nazariye se zindagi ko samjha hai. Mainey poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi facts rakhoon woh sahi ho. Agar aapko kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko rectify karne ki poori koshish karunga!


#inspiration #selfhelp #motivation #rubybridges #courage #compassion #hindipodcast

adbl_web_global_use_to_activate_T1_webcro805_stickypopup
Todavía no hay opiniones